Web Hosting Kya Hai? Kahan Se Kharide?
|“What is web hosting? ” Aakhir hai kya web hosting sabhi ke mann me yehi baat aati hai aakhir hai kya web hosting? ek website ya kisi blog ke liye hosting kyo jaruri hai. Toh dosto aaj me aap sabki problem ko dur kanre aa gya hu. Aaj me apko details me btaunga ki web hosting kya hai aur ishe kahan se kharide.
Web Hosting Kya Hai- Whats is Web Hosting ?
Last post mene btaya tha Domain Kya Hai toh dosto domain purchase karne ke bad apko apne domain ko host karne ke liye web hosting ki jarurt padti hai aur ab tak aap jaan chuke ho domain kya hota hai aur use kaise kahride toh dosto ab me apko bta raha Web hosting kya hoti hai web hosting ek service hai jo humari website ko internet ki help se world wide karti hai jisko aap pure world me dekh sakte ho. Apki website ke sarre pages post sab internet par live ho jate hai. website ko hmesha live ek computer dwara hi kiya jata hai jis bhi company se aap apni web hosting purchase karte ho wo apki website ke data ko apne server me store kar lete hai apke IP address ke dwara aur use apke users ke samne live kar dete hai. Jis computer me apka data save ho kar live hota hai use hi Server kaha jata hai. aur server jitni jada tezi se apki site ka data live karta hai use server speed kaheta hai.
Jab koi user apki website ke kisi post ya pages ko read karna chahta hai to wo us URL yani web address ko apne computer ke internet browser me daal kar apki website ke content ko padh sakta hai aur jab user apki website ka URL apne broswer me daalta hai to apke server tak ek notification pahoc jati hai aur apke server aur intenet kis help se apki website ke content user ko show ho jate hai aur wo use pad leta hai. aap soch rahe honge kitna time lagta hoga ye sb hone toh tension mat lo ise karne me jada time nhi lgta ye bhot jaldi hota jiska aap andaaza bhi nhi laga sakte utni jaldi hota hai.
Toh dosto ab aap jaan chuke hai ki web hosting hoti kya hai toh aab web hosting purchase karke website ko live kar sakte hai. bahut se comapny domain ke sath hi hosting deti hai aur agar apne domain phle se hi le rakha hai toh aap domain ke DNS address ko change kar apni website ko host kar sakte hai.
Website aur Blog Ke Liye Web Hosting Kyo Jaruri Hai
Uper samjhayi gayi baato se aap log samjh gye honge ek website ke liye hosting kyo jaruri hai agar nhi samjhe to me apko aur assn way me samjha deta hu point to point:
- Jaise hume ghar banane ke liye plot ki jarurt padti hai waise hi ek website ko banane ke liye hosting ki jarurt padti hai.
- Web hosting ek mobile ki trha hai jaise SIM ko chalane ke liye mobile ki jarut padti hai waise hi website ke liye hosting jaruri hai.
- Website ko aap pane computer me server bana kar host nhi kar sakte kyoki uske liye apko bahut jada paise kharch karne pdenge lakho me usse acha aap Rs 500-600 me monthly ki web hosting le loge.
- Web hosting company apko website ka backup ki service bhi deti hai jisse apki site ka data kharab ho jane par use wapas pa sakte ho.
Ab ap sab ko web hosting ke bare me ache se samjh aa gya hoga. Ab apko btate hai web hosting kahan se kharide.
Web Hosting Kaise aur Kahan Se Buy Kare
Web hosing ke liye market me bahut se companies hai jinse aap apni website ke liye hosting le sakte ho. companies ke passs offer bhi aate rahate hai aur aap chahe to ek hi company se doamin aur hosting le sakte hai. Hosting ko MB aur GB me mapa jata hai agar aap apne business ki website banana chate hai hai to aap space ko GB ya MB me purchase kar sajte hai magar aap blogger hai aur apne liye ek blogging website banana chah rahe hai to me apko unlimited hosting plan lene ki salha dunga, Jisse apko aage future me apni Bandwidth or Storage ko leakr problem nhi hogi.
Hosting Lete Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe
- Disk Space : Apko disk space unlimited mil raha hai ya nhi jaise Unlimted Storage, Unlimited Bandwidth, Unlimited Sub Domains, E Mail IDs aadhi aur ye sab apko ache price ma yani kam se kam rate par mil raha hai ya nhi.
- Up Time Service : Apki site jaldi se browser me loading ho rahi hai ya nhi.
- Customer Care : Hosting service provide karne wali site par apki language support karta hai ya nhi kyoki apko samjhne me koi problem na ho.
- 24×7 Support : Hosting site apko 24×7 support de rahi hai ya nhi kyoki agar aap blogger hai to aap jada tar time apbe blog par raat ko spend karte hai aur us waqt hai aap sabse jada problem ko face karta hai toh 24×7 support apke liye bahut jaruri hai.
Toh ab baat aati hai konsi company se hosting le toh apko me btane ja raha hu konsi company se web hosting le.
Finally, Apko pta chal gya kahan se web hosting kharide. sari companies ek bahut ache level par hai toh aap inme se kisi bhi company se hosting le sakte hai. BigRock ek Indian company hai toh aap usse bhi le sakte hai aap sabke proce compare kar sakte hai aur hosting le sakte hai. Agar apko in baato me koi bhi point samjha nhi aaya toh aap comment kare puch sakte hai.
Apko humara ye posy kaise laga apne comment karke jarur btaye aur Sharing is Sexy 🙂
Hosting lekar blog banane se hum apne blog ko puri tarah control kr skte hain. Blogger free hai or usme aapko full permission nahi milti hai. Google us blog ko control kar sakta hai. or jarurat padne par aapki permission ke bina blog ki post ya page ko remove kar sakta hai.
hello bro translate version kaise kiya website me
kaisa translate ??
Awesome….you deserve 1000+ Ratings.Bahut badhiya thank u sir ji aap ne mere bhut sare confusion dur kar diye thanks u agian
Really awesome work. Apka ye article mujhe bahut pasand aya.